Tuesday 23 December 2014

na jane kab ashaar ki aamad ho jayy

Umar kat rehi hy judai k ghum mein
magar ankhon ko karta nahien num mein
 
na jane kab ashaar ki aamad ho jayy
sada jaib mein rakhta hun qalam mein
 
zindgi ki uljano mein ulajh ky raeh gaya
wagarna tum sy aa kar milta sanam mein
 
duniya mein char din ka mehman hun
tera peyar yaad rakhon ga hamdam mein
 
Asghr duniya sy guzar jay bhi to kya
kabi na bholon ga tere karam mein