Wednesday 17 December 2014

Fursat mile to apna girebaan bhi dekh le

Mansub thy jo log meri zindagi ky saath,
aksar wohi mile hain badi berukhi ky saath,

Yun to main hans para hun tumhare liye magar,
kitne sitaare toot pare meri ik hansi ky saath,

Fursat mile to apna girebaan bhi dekh le,
aye dost yun na khail meri bebasi ky saath,

Majbooriyon ki baat chali hai to main kahan,
ham ne pia hy zehr bhi aksar khushi ky saath,

Mohsin karam bhi ho aur jis main khuloos bhi,

mujh ko gazab ka pyar hy os dushmani ky saath