Tuesday, 23 December 2014
Aks ki Trha Mere Dil Pe Q Cha Jaty Ho Tum
Sath To Eik Pal
Ka Tha Phr Q Mujhe Yaad Aaty Ho Tum
Aks ki Trha
Mere Dil Pe Q Cha Jaty Ho Tum
Dilbar B Nhi
Ho Mere Humdam Bhi Nhi
Ye Raste
Dosti ky Muje Phr Q Dikha Jaty Ho Tum
Hm kbhi Mile
Thy To Eik Ajnabi ki Trha
Meri Raaton
ki Neend Phr Q Urra Jaty Ho Tum
Hawao Sy Hm
Tmhara Pta Pochte Rahy
Kuch isi
Trha Sy Apna Dewana Bana Jaty Ho Tum
Sath To Ek
Pal Ka Tha Phr Q Mujhe Yad Aaty Ho Tum
Ya Muqaddar Mein Rasta Hi Nahi
Meri Aankhon Ko Sooojhta Hi Nahi
Ya Muqaddar Mein Rasta Hi Nahi
Wo Bharay Sheher Mein Kisi Sy Bhi
Mere Baaray Mein Poochta Hi Nahi
Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla Hi Nahi
Ham Chalay Os Ki Bazm Sy Uth Kar
Aur Wo Hy Ky Rokta Hi Nahi
Dil Jo Eik Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hi Nahi
Mein Tou Os Ki Talaash Mein Gum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hi Nahi
Monday, 22 December 2014
Jese Jahan Mein Koi APna Nahi Raha
Us Sy Juda To Ho gaya Per Youn Laga Mujhe
Jese Jahan Mein Koi APna Nahi Raha
Wo Bewafa Nahi Magar Itna ZaroR Hai
Pehle Wo Jes Tarah ka Tha Wesa Nahi Raha.
Ab mustekil rog achay lagty hain
Ghum ky sanjok achay lagty hain
Ab mustekil rog achay lagty hain
us sy khna koi wada-e-wafa na kry
mujhay ab bewafa log achay lagte hai.
Sunday, 21 December 2014
Kabhi Baraste Ho Kabhi Eik Boond Ko Tarsate Ho
Tum Mohabbat Bhi Mosam Ki Terha Nibhate Ho,
Kabhi Baraste Ho Kabhi Eik Boond Ko Tarsate Ho,
Pal Main Kehte Ho Zamane Main Faqat Tery Hain,
Pal Main Izhaar-e-Mohabbat Se Mukar Jaty Ho,
Bhari Mehfil Main Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aor Duaaon Main Mera Naam Liye Jaty Ho,
Lakh Mosam Ki Tarah Rung Badalty Raho,
Aaj Bhi Toot Ky Shiddat Sy Humain Chahte Ho.
wo naraz hy par shayad hum sy nahi
Wo Khush Hy per shayad hum sy nahi
wo naraz hy par shayad hum sy nahi
kon kehte hy unke dil main mohabbat nahi
Mohabbat to hy per shayad hum sy nahi
Usay Mohabat Kahan Thi Bas Dil Lagi Thi Ay Dil_e_nadaan
Usay Mohabat Kahan Thi Bas Dil Lagi Thi Ay Dil_e_nadaan
Warna Mera Pel Bhar Ka Bicharna Bhi Us Ky Liya Azab Hota..!!
Saturday, 20 December 2014
Beautiful words
Beeta hai jo mere upar
Apne pyare nabi ko sunaon ga
Darood partha hua jab mein madine jaoga
Rootay rootay apna haal sunaao ga
Jab un kay qadam mubarak ki jali ko haath lagao ga
Namaz parnhay jab masjid e nabwi jaon ga
Apney ap ko un kay hawalay dey kar ayo ga
Ae kash mujhe mout a jaye
Yeh kah kar un ki chohkat say lout jayo ga
Apnay gunaho ko bakshavnay kay liye
apne dil ko azmnay kay liye dey ao ga
apni rooh ko sambhal jane kay liye
Apnay aqa kay mazaar par ja kar
Maafi mango ga apni har hatha par
Qali qameli wale ko batao ga apne khaalat
Kia kia beeti hain uski umaat kay
opaar unkay bichaar janay kay baad
Apni chahat ka izhaar karnay kay liye
Aaqa ka deedar karnay kay liye
So jaon ga unki chohkat par
Maafi ki talaab kay liye
Hadees-1142
Hazrat Mohammad
(S.A.W)
Ghar Tashrif Laye
To Roti Ka Tukra Gira Hua Dekha
Aap (S.A.W) Ne
Usay Utha K Saaf Kiya,
Khud Khaya Or
Fermaya:
Aey Ayesha Ezat Dar
Cheez Ki Ezzat Karo
Jab ALLAH Kisi
Qoam Ka Rizzq Cheen Leta Hy
To Naslon Tak
Wapas Nahi Kerta.
(IBN-MAJA)
Hadees-1142
Wednesday, 17 December 2014
Fursat mile to apna girebaan bhi dekh le
Mansub thy jo log meri zindagi ky
saath,
aksar wohi mile hain badi berukhi ky saath,
Yun to main hans para hun tumhare liye magar,
kitne sitaare toot pare meri ik hansi ky saath,
Fursat mile to apna girebaan bhi dekh le,
aye dost yun na khail meri bebasi ky saath,
Majbooriyon ki baat chali hai to main kahan,
ham ne pia hy zehr bhi aksar khushi ky saath,
Mohsin karam bhi ho aur jis main khuloos bhi,
mujh ko gazab ka pyar hy os dushmani ky saath
Tuesday, 16 December 2014
Sunday, 14 December 2014
Kisi ka Sath Dena Tha kisi ko Chorh Aya Hon
Taluk Rakh Liya Baki Yakeen Torr Aya Hon
Tumhare Sath Jene ki kasam khane se Kuch Pehle
Me Kuch Wade Kai kasmen kaheen Par Torr Aya Hon
Mohabat kanch ka Zindan Thi Yun Sange Garan kab Thi
Jaha Ser Phorh Sakta Tha Wahan Ser Phorh Aya Hon
Palat kar Agea Lekin Yun Lagta He k Apna Aap
Jahan Tum Mujh Sy Bichrhe Tha Waheen Rakh Chorh Aya Hon
Use Jaane ki Jaldi Thi So Me Ankhon Hi Ankhon Me
Jahan Tak Chorh Sakta Tha Wahan Tak Chorh Aya Hon
Binaa Satoon Kaay Khaara Asmaaan Dheakh Raha Hon
Aye Khudaa Teri Shaan Dheak Raahaa Hon
Binaa Satoon Kaay Khaara Asmaaan Dheakh Raha Hon
Teri Jalwaa Giri Hai Jaga Jaga
Teri Ibadaat Sy Gafil Yeah
Jahaan Dheak Raha Houn
Happy Jummaa Mubarik Day.
Friday, 12 December 2014
Bhari Mehfil Main Dushmano ki Tarah Milte Ho
Tum Mohabbat Bhi Mosam Ki Tarha Nibhate Ho
Kabhi Baraste Ho Kabhi Ek Boond Ko Tarsate Ho
Pal Main Kehte Ho Zamane Main Faqat Tere Haio
Pal Main Izhaar-e-Mohabbat Sy Mukar Jate Ho
Bhari Mehfil Main Dushmano ki Tarah Milte Ho
Aur Duaaon Main Mera Naam Liye Jate Ho
Lakh Mosam Ki Tarah Rung Badalte Raho
Aaj Bhi Toot Ky Shiddat Se Humain Chahte Ho
woh naraz hai par shayad hum say nahi
Woh Khush Hai par shayad hum sy nahi
woh naraz hai par shayad hum sy nahi
kon kehte hai unke dil main mohabbat nahi
Mohabbat to hai pyar shayad hum sy nahi
Wednesday, 10 December 2014
Monday, 8 December 2014
Kisi_ko Raas Aa jati hai Bd_dua Dosto
Bichre hoe logon ki
Sadayen maar deti hain
Kisi_ko Raas Aa jati
hai Bd_dua Dosto
Aur kisi ko apnon ki
Duayein maar deti hain
Wo Shajar se tote hue
Bd_naseeb Pattay
Jine har mosam me
Hawayein maar deti hain
Khatayein maar deti
hain Har ik Sitam Seh ker b
jo rehty hain Wafa par
Qayim
Aise Wafa Shoor Logon
ko Wafayein maar deti hain
Yahan Par AiK Saat Ki Himaqat Maar Deti Hai
Mohabat Main Musafat
Ki Nazakat Maar Deti Hai
Yahan Par AiK Saat Ki Himaqat Maar Deti Hai
Ghalat Hy Ye Gumaan
Tera Koi Tujh Par Fida Hoga
Main Haq Per Hon Magar
Meri Gawahi Kon Deta Hai
K Dunia Ki Adalat Main Sadaqat Maar Deti Hai
Sar-e-Mehfil Jo Bolon
To Zamany Ko Khatakta Hoon
Rahon Main Chup To Andar Ki Baghawat Maar Deti Hai
Zmany Se Ulajhna B Nhi
Acha Magar
Yahan Hadd Se Ziada B Sharafat Maar Deti Hai
mai tere sang sanf chalu
Ye zindagi tere sath ho,
ye arzoo din raat ho,
mai tere sang sanf chalu,
tu har safar mai mere sath ho,
mai kanto par bhi chal padu,
tere pyar ke jab barsat ho,
kabi sham dhale jab hum mile,
na din dhale na raat ho,
ye zindagi bas tere sath ho.
chandni chand sy hoti hay setaron sy nahi
chandni chand sy hoti hay setaron sy nahi
muhabat ek sy hoti hay hazarun sy nahi
Thursday, 4 December 2014
Very Best Poetry
aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad KaRNa bhi usey roo, bhula bhi daina,
Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,
Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi KaRNa,
Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm KaRNa bhi magar khud ko saza bhi daina,
Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,
Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi daina
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila
Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila
Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila
Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila
Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila
Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi..
Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi..
Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..
Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Kee Tarha Jagney Walon jesi..
Qayamat hi qayamt hogi Tere shehar me
Wo raat Dard aur sitam ki raat hogi,
Jis raat ruksat unki Baraat hogi.
Uth jatay hain ye soch kar neend se ky,
Hosh nahi tha mujhe Us ki shaadi ki raat.
Main ne kabhi ye na Socha tha k meri zindagi Nelaam hogi.
Meri jan ab zinda hon Teri khatir.
Kal shehar me tere kafan Me lipti meri lash hogi.
Tum dekh kar khoon ky Ansoo ro gi.
Youn khoon se bhari Meri lash hogi.
Qayamat hi qayamt hogi Tere shehar me,
Ky har gali har ghar me Likhi meri dukh bhari Daastaan hogi
Wednesday, 3 December 2014
"Kahun Ky Kia Ho Tum....?"
"Kahun Ky Kia Ho Tum....?"
Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho ky jo Guzre wo Hawa ho Tum,
Maine
jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kia maine
Mehsos wo Ehsas ho Tum,
Meri Nazar ki Talash ho Tum,
Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,
Maine
jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,
Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,
Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin,
Meri JAAN ho Tum.
Yaadai'n jaag jati hain
Yaadai'n jaag jati hain
Barisho'n ky mausam main
Har ghari satati hain
Barisho'n ky mausam main
Shaambhi kisi surat
Chain se nahi kat'ti
Subhai'n bhi satati hain
Barisho'n ky mausam main
Zehen k jharokey main
Jab koi sada ubhrey
Aankhai'n bheeg jati hain
Baarisho'n ky mausam main
Meri Khushi Meri Zindagi
Meri Khushi Meri Zindagi Mukamal Ho jay
Jo ek tu Mele Meri Bandagi Mukamal Ho Jay
Tuesday, 2 December 2014
Monday, 1 December 2014
EHMIAT
Logun Ko Etni Ehmiat Do Jitni Ehmiat Tumhein Dete Hein
Kam Dogy To Maghroor Kehlao Gay
Ziada Do Gay To Gir Jao Gy
Sunday, 30 November 2014
Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,
De k Ek Dard Naya her Shaam DHAL Jati hay,
Tujh ko Seenay say Laga ker Milay Jannat ka Sakoon,
Tujh say Bichrron to Meri Jaan NIKAL Jati hay,
Ishq Kuch Aisay Mitata hay NISHAN-E-HASTI,
Jaise k Raat Ujaalay ko NIGAL Jati hay,
Tu Agar Dil pay Meray Hath hi Rakh De to,
Toot'ti Saans Bhi Kuch Dair SANBHAL Jati hay,
Zakhm Bharta hi Nahi Teri JUDAAI ka Magr,
Phir Teri YAAD Naya Dard UGAL Jati hy..
Friday, 28 November 2014
Thursday, 27 November 2014
Wednesday, 26 November 2014
Tuesday, 25 November 2014
Monday, 24 November 2014
Sunday, 23 November 2014
Subscribe to:
Posts (Atom)