Tuesday, 23 December 2014

na jane kab ashaar ki aamad ho jayy

Umar kat rehi hy judai k ghum mein
magar ankhon ko karta nahien num mein
 
na jane kab ashaar ki aamad ho jayy
sada jaib mein rakhta hun qalam mein
 
zindgi ki uljano mein ulajh ky raeh gaya
wagarna tum sy aa kar milta sanam mein
 
duniya mein char din ka mehman hun
tera peyar yaad rakhon ga hamdam mein
 
Asghr duniya sy guzar jay bhi to kya
kabi na bholon ga tere karam mein


Aks ki Trha Mere Dil Pe Q Cha Jaty Ho Tum

Sath To Eik Pal Ka Tha Phr Q Mujhe Yaad Aaty Ho Tum
 
Aks ki Trha Mere Dil Pe Q Cha Jaty Ho Tum
 
Dilbar B Nhi Ho Mere Humdam Bhi Nhi
 
Ye Raste Dosti ky Muje Phr Q Dikha Jaty Ho Tum
 
Hm kbhi Mile Thy To Eik Ajnabi ki Trha
 
Meri Raaton ki Neend Phr Q Urra Jaty Ho Tum
 
Hawao Sy Hm Tmhara Pta Pochte Rahy
 
Kuch isi Trha Sy Apna Dewana Bana Jaty Ho Tum
 
Sath To Ek Pal Ka Tha Phr Q Mujhe Yad Aaty Ho Tum

Ya Muqaddar Mein Rasta Hi Nahi

Meri Aankhon Ko Sooojhta Hi Nahi
Ya Muqaddar Mein Rasta Hi Nahi
Wo Bharay Sheher Mein Kisi Sy Bhi
Mere Baaray Mein Poochta Hi Nahi
Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla Hi Nahi
Ham Chalay Os Ki Bazm Sy Uth Kar
Aur Wo Hy Ky Rokta Hi Nahi
Dil Jo Eik Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hi Nahi
Mein Tou Os Ki Talaash Mein Gum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hi Nahi


Monday, 22 December 2014

Jese Jahan Mein Koi APna Nahi Raha

Us Sy Juda To Ho gaya Per Youn Laga Mujhe
Jese Jahan Mein Koi APna Nahi Raha
 
Wo Bewafa Nahi Magar Itna ZaroR Hai
Pehle Wo Jes Tarah ka Tha Wesa Nahi Raha.


Ab mustekil rog achay lagty hain

Ghum ky sanjok achay lagty hain
 
Ab mustekil rog achay lagty hain
 
us sy khna koi wada-e-wafa na kry
 
mujhay ab bewafa log achay lagte hai.


Sunday, 21 December 2014

Kabhi Baraste Ho Kabhi Eik Boond Ko Tarsate Ho

Tum Mohabbat Bhi Mosam Ki Terha Nibhate Ho,
 
Kabhi Baraste Ho Kabhi Eik Boond Ko Tarsate Ho,
 
Pal Main Kehte Ho Zamane Main Faqat Tery Hain,
 
Pal Main Izhaar-e-Mohabbat Se Mukar Jaty Ho,
 
Bhari Mehfil Main Dushmano ki Tarah Milte Ho,
 
Aor Duaaon Main Mera Naam Liye Jaty Ho,
 
Lakh Mosam Ki Tarah Rung Badalty Raho,
 
Aaj Bhi Toot Ky Shiddat Sy Humain Chahte Ho.


wo naraz hy par shayad hum sy nahi

Wo Khush Hy per shayad hum sy nahi
 
wo naraz hy par shayad hum sy nahi
 
kon kehte hy unke dil main mohabbat nahi
 
Mohabbat to hy per shayad hum sy nahi